Sunday, October 1, 2017

Success Story Of Hardik Pandya in Hindi (Biography)

                     



Hardik Pandya Ka Janam 11 October 1993 Ko Surat Ke Ek Middle Class Pariwar Mai Hua. Hardik Ke Pita Himanshu Pandya Ka Apna Car Finance Ka Bussiness Tha. Jab Hardik 5 Saal Ke Hue Tab Unke Pita Ne Apna Bussiness Band Kar Diya Kyu Ki Unhone Yahi Socha Ki Unke Bacho Ka Future Isi Par Nirbhar Hai Isiliye Vo Vadodara Shift Ko Gaye. Hardik Ne Apni Schooling MK High School Se Kari Jaha Vo Khub Cricket Khela Karte The. Fir Hardik Ne Apne Bhai Krunal Pandya Ke Saath Kiranmore Cricket Academy Bhi Join Kar Li. 


Hardik Ka Hamesha Se Ek Hi Best Friend Rha Hai Or Vo Hai Unka Bhai Krunal Pandya. Krunal Ka Kehna Hai Ki Hardik Match Akele Hi Jeeta Diya Karte The. Fir Dhire Dhire Unke Achhe Cricket Ko Dekh Kar Unhe State Team Mai Select Kar Liya Gaya Par Unhe Uss Team Se Jaldi Nikal Bhi Diya Gaya Kyu Coach Ka Kehna Tha Ki Hardik Ka Attitude Problem Hai Or Hardik Ka Kehna Tha Ki Unhe Apni Feeling Ko chhipana Pasand Nahi Hai. Fir 2013 Mai Hardik Ne Baroda Cricket Team Ke Saath Khelna Suru Kar Diya Or Iske Baad Hardik Ki Zindagi Badalne Wali thi. Unhone 2013-14 Ki Syed Mushtaq Trophy Ko Jeeta kar Apna Alag Hi Mukaam Hasil Kar Liya. 


2015 Mai Unhe IPL Team Ke Liye Select Kar Liya. Unhe Mumbai Indians Ne Kharida Or Pahla Match Jo Chennai Super Kings Ke Khilaf Tha Usme Hardik Ne Bahut Achha Prdarshan Kiya Or 8 Balls Mai 21 Runs Banaye Or Iss Match Mai 3 Catches Bhi  Liye Or Tab Se Hardik Ki Fan Following Badti Chali Gai. Hardik Pandya Ab Ek Naam Or Mumbai Indians Ki Pahchan Bhi Ban Gaye. Uss Time Sachin Tendulkar Ne Call Karke Bola Tha Ki Mai Dave Ke Saath Keh Sakta Hu Ki Tum Ded Sal Ke Andar Team India Ke Liye Kheloge Or Agle Saal 2016 Mai Unhe Asia Cup Khelne Ka Mauka Mil Gaya Or Isi Ke Baad Hardik Ko Apna T20 International Debue Mila Australia Ke Khilaf Jisme Unhone 2 Wickets Liye Or Agle T20 Jo Shri Lanka Ke Khilaf Tha Usme 14 Balls Mai 27 Runs Banaye. October Mai ODI Debue Kiya New Zealand Ke Khilaf Jisme Unhone 3 Wickets Leke Match Jeetaya. 


Ab Hardik Pandya Indian Cricket Team Ka Important Hissa Hai.


2 comments:

Robert Downey Jr. Sucess Story in Hindi (Biography)

Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...