Monday, October 2, 2017

Success Story of Ranveer Singh in Hindi (Biography)


Ranveer Singh Bhavnani Ka Janam 6 July 1985 Ko Mumbai Ke Ek Sindhi Pariwar Mai Hua. Ranveer Ke Pita Ka Naam Jagjit Singh Bhavnani Or Maa Ka Naam Anju Bhavnani Hai. Ranveer Bachpan Se Hi Acting Karna Pasand Karte The. Vo Apne School Mai Palys Mai Hissa Lete The. Ranveer Ke Pariwar Wale Kehte Hai Ki Ghar Mai Jab Bhi Koi Party Hoti Thi To Koi Dance Kare Ya Na Kare Ranveer Sabse Pahle Dance Suru Karte The. Ranveer Ne School Khtam Karne Ke Baad Unhone HR College Of Commerce and Economics Join Kiya. Yahi Se Padhai Karte Samay Inhe Yeh Ahsas Hua Ki Yaha Se Gradution Karne Ke Baad Filmo Mai Jana Itna Aasan Nahi Hai Kyu Ki Bahut Logo Ne Unhe Bataya Tha Ki Jinka Koi Jankar Film Industry Mai Ho Sirf Vahi Aage Ja Sakte Hai.



Ranveer Ne Decide Kiya Ki Vo Acting Na Kar Paye To Writer Banege. Iske Baad Vo United State Ki Indiana University Se Bachlor Of Arts Ki Degree Lege or University Mai Hi Acting Class Bhi Li Or Theater Ko Second Option Leke Aage Bade. Padhai Khatam Hone Ke Baad 2007 Mai Vo  Mumbai Laute. Kuch Advertising Companies Jaise O & M Aur J Walter Thomson Ke Saath Kuch Saal Kaam Kiya. Fir Unhone Assistant Director Banke Bhi Kaam Kiya Or Dhire Dhire Apna Portfolio Sabhi Directors Ko Bhejne Lage. Har Kahi Audition Dene Ke Ranveer Singh Ko Kamyabi Hasil Nahi Hui.


Ranveer Ko Kuch Bahut Chhote Roles Mile But Vo Inse Khush Nahi The. Fir Ek Saal Tak Chhote Roles Karne Ke Baad Unhe 2010 Mai Anushka Sharma Ke Saath Yash Raj Film Production Ki Film Band Baaja Baarat Mili. Unki Pahli Film Ne Logo Ko Khush Kar Diya Aur Unhe Iske Liye Film Fare Ka Best Debut Ka Award Bhi Mila. Iske Baad 2013 Mai Romantic Movie Lootera Aai Jo Achhi Hit Gai. Fir To Ranveer Ke Career Ne Raftar Pakad Li. Iske Baad Inhone Ek Ke Baad Ek Hit Films Di Jaise Ram Leela, Gunday, Dil Dhadakne Do, Bajirao Mastani Aur Befikre. Ranveer Singh Ki Aane Wali Film Padmavati Hai.


Ranveer Singh Ab Bollywood Ke Ek Chahte Aur Kamyab Actor Hai.


                                                    Dosto Post Pasand Aaye To Share Jarur Kare.


 

2 comments:

  1. Very Nice site and it is helpful info. also check out Ranveer Singh Upcoming Movies List 2017-2018, Please Dease visit at http://mtwiki.blogspot.com/2015/06/ranveer-singh-upcoming-movies-list-with-release-date-info.html

    ReplyDelete
  2. I am biggest fan of you i am waiting your new movie Ranveer Singh

    ReplyDelete

Robert Downey Jr. Sucess Story in Hindi (Biography)

Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...