Friday, September 29, 2017

Success Story of Rohit Sharma in Hindi (Biography)

                    


Pichhle Kuch Salo Mai Humari Cricket Team Ne Kai Bade Bade Khitab Apne Naam Kiye Hai Or Humare Desh Ka Naam Puri Duniya Mai Roshan Kiya. Bharat Ki Cricket Mai Success Ke Pichhe Kai Mahan Cricketrs Hai Jinme Se Ek Naam Rohit Sharma ka Bhi Hai. Rohit Sharma Ne Kai Records Apne Naam Kiya Hue Hai Jinme Se Ek Hai Kisi Bhi Player Ke Dawra Ek ODI Match Mai Sabse Jayda Run. Yeh Record Inhone Shri Lanka Ke Khilaf 264 Run Ka Banaya Tha. Sirf 20 Saal Ki Umar Mai Hi International Cricket Mai Debue Karne Wale Iss Khiladi Ka Pura Safar Hum Janege.


Rohit Sharma Ka Janam 30 April 1987 Ko Nagpur, Maharashtra Mai Hua. Rohit Sharma Ka Pariwar Uss Time bahut Gareeb Tha. Paiso Ki Kami Ki Vajh Se Hi Rohit Ki School Fees Bharne Mai Unke Gharwalo Ko Bahut Preshani Hoti Thi. Uss Time Rohit Sharma Ke Pita ne Inhe Inke Dada Dadi Ke Ghar Bhej Diya . Cricket Mai Interst Hone Ki Vajh Se Rohit Vaha Galiyo Mai Apne Dosto ke Saath Khoob Cricket Khela karte The. Kafi Samay Tak Aise Hi Khelne Ke Baad Rohit Ne Apne Uncle Se Paise Lekar Ek Cricket Club Join Kiya. Club Mai Pahle Se Hi Kafi Batsman Hone Ki Vajh Se Vaha Bowling Karni Suru Kari Or Usi Ki Practice Karte Hue Apna Samay bitaya. Jab Coach Dinesh Lad Ne Rohit Ka Cricket Ki Taraf Josh Dekha To Inhone Rohit Ko Swami Vivekanad School Join Karne Ke Liye Bola Kyu Ki Vaha Dinesh Lad Coach The Or Vaha Par Cricket Facilites Bhi Jayda Achhi Thi. 


Rohit Uss School Ko Afford Nahi Kar Sakte The. But Rohit Ke Coach Ne Rohit Ko Scolarship Dilwane Mai Help Kari Or Fir Rohit Ne 4 Salo Tak Apni Padhai Free Mai Kari. Vaise To Rohit 8th ya 9th Postion Par Bating Karne Aate The Lekin Jab Rohit Ke Coach Ne Rohit Ki Bating Skill Dekhi To Inhone Rohit Ko Net Par Practice Karne Ki Salah Di Fir Rohit Ne Apne Batting Ko or improve Karne Ke Liye Din Raat Practice Karni Suru Kar Di. Rohit Ne Pahli Bar Opening Kari Inter School Tournament Mai Jisme Inhone  Jordar 120 Run Ki Pari Kheli. Fir Rohit Ne 18 ki Umar Mai Domestic Cricket Mai Debue Kiya Or Aate Hi North Zone Ke Khilaf 142 Run Banaye Or Isi Vajh Se Kafi Logo Ki Nazro Mai Bhi Aa Gaye. 


Fir Rohit Ne First Class Mai Debue Kiya Or India A team Se Khelne Lage Fir Inhone Mumbai Ko Ranji Trophy Jitai Jiske Ek Match Mai Inhone 205 Run Banaye The. Fir 2007 Mai Jab Rohit 20 Saal Ke Hue To Inhone Apna International Debue Kara Ireland Ke Khilaf Iske Baad Inka Cricket Career Dhire Dhire Aage Badta Raha. Rohit Ne Isi Bich Kuch International Centuries Bhi Lagai Par Iske Baad Khrab Prdarshan Ki Vajh Se Inhe 2011 World Cup Ki Team Se Bahr Baithna Pada. Iske Baad Rohit Ko West Indies Tour Ke Liye Select Kar Liya Gaya. Yeh Aisa Match Tha Jisme Jaydatar Player Jaise Sachin Teldurkar, Virendra Sehwag Or MS Dhoni Rest Par The Or Kuch Players Jaise Yuvraj Singh, Gautam Gambhir Injured The. Yeh Match Rohit Sharma Ko Khud Ko Sabit Karne Ka Achha Mauka Tha To Iss Match Mai Rohit Sharma Ne 71 Run Banaye Or Yeh Match India jeet Gai. Fir 2013 Ki Champion Trophy Mai Rohit Ko Opening Karne Ka Mauka Diya Gaya Sikhar Dhawan Ke Saath Or Iss Trophy Ne India Ko Champion Trophy Dila Di. Fir Aaya November 2013 Jab Sachin Sir Fairwell Tha To Rohit Ko Test Match Debue Ka Mauka Mila Tab Rohit Ne 177 Runs Bana Kar West Indies Ke Khilaf India Jo Jeetaya Or Yeh Score Second Best Score On Debut By Indian Player Bana. Or Rohit Un Players Mai Aa Gaye Jinhone Test Debue Mai Century Banai. 


Rohit Tab Se Hi India Team Ka Hissa hai. Rohit Akele Aise Player Hai Jinhone International One Day Match mai Two Double Hundreds Banaye Hai


No comments:

Post a Comment

Robert Downey Jr. Sucess Story in Hindi (Biography)

Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...