Wednesday, October 4, 2017
Monday, October 2, 2017
Success Story of Ranveer Singh in Hindi (Biography)
Ranveer Singh Bhavnani Ka Janam 6 July 1985 Ko Mumbai Ke Ek Sindhi Pariwar Mai Hua. Ranveer Ke Pita Ka Naam Jagjit Singh Bhavnani Or Maa Ka Naam Anju Bhavnani Hai. Ranveer Bachpan Se Hi Acting Karna Pasand Karte The. Vo Apne School Mai Palys Mai Hissa Lete The. Ranveer Ke Pariwar Wale Kehte Hai Ki Ghar Mai Jab Bhi Koi Party Hoti Thi To Koi Dance Kare Ya Na Kare Ranveer Sabse Pahle Dance Suru Karte The. Ranveer Ne School Khtam Karne Ke Baad Unhone HR College Of Commerce and Economics Join Kiya. Yahi Se Padhai Karte Samay Inhe Yeh Ahsas Hua Ki Yaha Se Gradution Karne Ke Baad Filmo Mai Jana Itna Aasan Nahi Hai Kyu Ki Bahut Logo Ne Unhe Bataya Tha Ki Jinka Koi Jankar Film Industry Mai Ho Sirf Vahi Aage Ja Sakte Hai.
Ranveer Ne Decide Kiya Ki Vo Acting Na Kar Paye To Writer Banege. Iske Baad Vo United State Ki Indiana University Se Bachlor Of Arts Ki Degree Lege or University Mai Hi Acting Class Bhi Li Or Theater Ko Second Option Leke Aage Bade. Padhai Khatam Hone Ke Baad 2007 Mai Vo Mumbai Laute. Kuch Advertising Companies Jaise O & M Aur J Walter Thomson Ke Saath Kuch Saal Kaam Kiya. Fir Unhone Assistant Director Banke Bhi Kaam Kiya Or Dhire Dhire Apna Portfolio Sabhi Directors Ko Bhejne Lage. Har Kahi Audition Dene Ke Ranveer Singh Ko Kamyabi Hasil Nahi Hui.
Ranveer Ko Kuch Bahut Chhote Roles Mile But Vo Inse Khush Nahi The. Fir Ek Saal Tak Chhote Roles Karne Ke Baad Unhe 2010 Mai Anushka Sharma Ke Saath Yash Raj Film Production Ki Film Band Baaja Baarat Mili. Unki Pahli Film Ne Logo Ko Khush Kar Diya Aur Unhe Iske Liye Film Fare Ka Best Debut Ka Award Bhi Mila. Iske Baad 2013 Mai Romantic Movie Lootera Aai Jo Achhi Hit Gai. Fir To Ranveer Ke Career Ne Raftar Pakad Li. Iske Baad Inhone Ek Ke Baad Ek Hit Films Di Jaise Ram Leela, Gunday, Dil Dhadakne Do, Bajirao Mastani Aur Befikre. Ranveer Singh Ki Aane Wali Film Padmavati Hai.
Ranveer Singh Ab Bollywood Ke Ek Chahte Aur Kamyab Actor Hai.
Dosto Post Pasand Aaye To Share Jarur Kare.
Sunday, October 1, 2017
Success Story Of Hardik Pandya in Hindi (Biography)
Hardik Pandya Ka Janam 11 October 1993 Ko Surat Ke Ek Middle Class Pariwar Mai Hua. Hardik Ke Pita Himanshu Pandya Ka Apna Car Finance Ka Bussiness Tha. Jab Hardik 5 Saal Ke Hue Tab Unke Pita Ne Apna Bussiness Band Kar Diya Kyu Ki Unhone Yahi Socha Ki Unke Bacho Ka Future Isi Par Nirbhar Hai Isiliye Vo Vadodara Shift Ko Gaye. Hardik Ne Apni Schooling MK High School Se Kari Jaha Vo Khub Cricket Khela Karte The. Fir Hardik Ne Apne Bhai Krunal Pandya Ke Saath Kiranmore Cricket Academy Bhi Join Kar Li.
Hardik Ka Hamesha Se Ek Hi Best Friend Rha Hai Or Vo Hai Unka Bhai Krunal Pandya. Krunal Ka Kehna Hai Ki Hardik Match Akele Hi Jeeta Diya Karte The. Fir Dhire Dhire Unke Achhe Cricket Ko Dekh Kar Unhe State Team Mai Select Kar Liya Gaya Par Unhe Uss Team Se Jaldi Nikal Bhi Diya Gaya Kyu Coach Ka Kehna Tha Ki Hardik Ka Attitude Problem Hai Or Hardik Ka Kehna Tha Ki Unhe Apni Feeling Ko chhipana Pasand Nahi Hai. Fir 2013 Mai Hardik Ne Baroda Cricket Team Ke Saath Khelna Suru Kar Diya Or Iske Baad Hardik Ki Zindagi Badalne Wali thi. Unhone 2013-14 Ki Syed Mushtaq Trophy Ko Jeeta kar Apna Alag Hi Mukaam Hasil Kar Liya.
2015 Mai Unhe IPL Team Ke Liye Select Kar Liya. Unhe Mumbai Indians Ne Kharida Or Pahla Match Jo Chennai Super Kings Ke Khilaf Tha Usme Hardik Ne Bahut Achha Prdarshan Kiya Or 8 Balls Mai 21 Runs Banaye Or Iss Match Mai 3 Catches Bhi Liye Or Tab Se Hardik Ki Fan Following Badti Chali Gai. Hardik Pandya Ab Ek Naam Or Mumbai Indians Ki Pahchan Bhi Ban Gaye. Uss Time Sachin Tendulkar Ne Call Karke Bola Tha Ki Mai Dave Ke Saath Keh Sakta Hu Ki Tum Ded Sal Ke Andar Team India Ke Liye Kheloge Or Agle Saal 2016 Mai Unhe Asia Cup Khelne Ka Mauka Mil Gaya Or Isi Ke Baad Hardik Ko Apna T20 International Debue Mila Australia Ke Khilaf Jisme Unhone 2 Wickets Liye Or Agle T20 Jo Shri Lanka Ke Khilaf Tha Usme 14 Balls Mai 27 Runs Banaye. October Mai ODI Debue Kiya New Zealand Ke Khilaf Jisme Unhone 3 Wickets Leke Match Jeetaya.
Ab Hardik Pandya Indian Cricket Team Ka Important Hissa Hai.
Friday, September 29, 2017
Success Story of Rohit Sharma in Hindi (Biography)
Pichhle Kuch Salo Mai Humari Cricket Team Ne Kai Bade Bade Khitab Apne Naam Kiye Hai Or Humare Desh Ka Naam Puri Duniya Mai Roshan Kiya. Bharat Ki Cricket Mai Success Ke Pichhe Kai Mahan Cricketrs Hai Jinme Se Ek Naam Rohit Sharma ka Bhi Hai. Rohit Sharma Ne Kai Records Apne Naam Kiya Hue Hai Jinme Se Ek Hai Kisi Bhi Player Ke Dawra Ek ODI Match Mai Sabse Jayda Run. Yeh Record Inhone Shri Lanka Ke Khilaf 264 Run Ka Banaya Tha. Sirf 20 Saal Ki Umar Mai Hi International Cricket Mai Debue Karne Wale Iss Khiladi Ka Pura Safar Hum Janege.
Rohit Sharma Ka Janam 30 April 1987 Ko Nagpur, Maharashtra Mai Hua. Rohit Sharma Ka Pariwar Uss Time bahut Gareeb Tha. Paiso Ki Kami Ki Vajh Se Hi Rohit Ki School Fees Bharne Mai Unke Gharwalo Ko Bahut Preshani Hoti Thi. Uss Time Rohit Sharma Ke Pita ne Inhe Inke Dada Dadi Ke Ghar Bhej Diya . Cricket Mai Interst Hone Ki Vajh Se Rohit Vaha Galiyo Mai Apne Dosto ke Saath Khoob Cricket Khela karte The. Kafi Samay Tak Aise Hi Khelne Ke Baad Rohit Ne Apne Uncle Se Paise Lekar Ek Cricket Club Join Kiya. Club Mai Pahle Se Hi Kafi Batsman Hone Ki Vajh Se Vaha Bowling Karni Suru Kari Or Usi Ki Practice Karte Hue Apna Samay bitaya. Jab Coach Dinesh Lad Ne Rohit Ka Cricket Ki Taraf Josh Dekha To Inhone Rohit Ko Swami Vivekanad School Join Karne Ke Liye Bola Kyu Ki Vaha Dinesh Lad Coach The Or Vaha Par Cricket Facilites Bhi Jayda Achhi Thi.
Rohit Uss School Ko Afford Nahi Kar Sakte The. But Rohit Ke Coach Ne Rohit Ko Scolarship Dilwane Mai Help Kari Or Fir Rohit Ne 4 Salo Tak Apni Padhai Free Mai Kari. Vaise To Rohit 8th ya 9th Postion Par Bating Karne Aate The Lekin Jab Rohit Ke Coach Ne Rohit Ki Bating Skill Dekhi To Inhone Rohit Ko Net Par Practice Karne Ki Salah Di Fir Rohit Ne Apne Batting Ko or improve Karne Ke Liye Din Raat Practice Karni Suru Kar Di. Rohit Ne Pahli Bar Opening Kari Inter School Tournament Mai Jisme Inhone Jordar 120 Run Ki Pari Kheli. Fir Rohit Ne 18 ki Umar Mai Domestic Cricket Mai Debue Kiya Or Aate Hi North Zone Ke Khilaf 142 Run Banaye Or Isi Vajh Se Kafi Logo Ki Nazro Mai Bhi Aa Gaye.
Fir Rohit Ne First Class Mai Debue Kiya Or India A team Se Khelne Lage Fir Inhone Mumbai Ko Ranji Trophy Jitai Jiske Ek Match Mai Inhone 205 Run Banaye The. Fir 2007 Mai Jab Rohit 20 Saal Ke Hue To Inhone Apna International Debue Kara Ireland Ke Khilaf Iske Baad Inka Cricket Career Dhire Dhire Aage Badta Raha. Rohit Ne Isi Bich Kuch International Centuries Bhi Lagai Par Iske Baad Khrab Prdarshan Ki Vajh Se Inhe 2011 World Cup Ki Team Se Bahr Baithna Pada. Iske Baad Rohit Ko West Indies Tour Ke Liye Select Kar Liya Gaya. Yeh Aisa Match Tha Jisme Jaydatar Player Jaise Sachin Teldurkar, Virendra Sehwag Or MS Dhoni Rest Par The Or Kuch Players Jaise Yuvraj Singh, Gautam Gambhir Injured The. Yeh Match Rohit Sharma Ko Khud Ko Sabit Karne Ka Achha Mauka Tha To Iss Match Mai Rohit Sharma Ne 71 Run Banaye Or Yeh Match India jeet Gai. Fir 2013 Ki Champion Trophy Mai Rohit Ko Opening Karne Ka Mauka Diya Gaya Sikhar Dhawan Ke Saath Or Iss Trophy Ne India Ko Champion Trophy Dila Di. Fir Aaya November 2013 Jab Sachin Sir Fairwell Tha To Rohit Ko Test Match Debue Ka Mauka Mila Tab Rohit Ne 177 Runs Bana Kar West Indies Ke Khilaf India Jo Jeetaya Or Yeh Score Second Best Score On Debut By Indian Player Bana. Or Rohit Un Players Mai Aa Gaye Jinhone Test Debue Mai Century Banai.
Rohit Tab Se Hi India Team Ka Hissa hai. Rohit Akele Aise Player Hai Jinhone International One Day Match mai Two Double Hundreds Banaye Hai
Success Story of Kangana Ranaut in Hindi (Biography)
Bollywood Ki Queen Yani Kangana Raunaut Ka Janam 23 March 1986 ko Himachal Pradesh Ke Ek Chhote Se Village Bhambla Mai Hua.
Kangana Ki Maa Ek School Teacher Hai Or Inke Pita Ek Bussinessman Hai. Kangana Hamesha Se Hi Joint Family Mai Rahi Or Bachpan Se Hi Bahut Ziddi Ladki Thi. Kangana Bachpan Ko Fashion Ka Suru Se Hi Shauk Tha Vo Bachpan SE Hi Alag Alag Tarah Ki Dresses Pahnna Pasand Karti Thi.
Kangana Ne Apni Schooling Dav Public School, Chandigarh Se Kari Hai. Kangana Science Ki Student Thi Or Kangana Ek Doctor Banna Chahti Thi Yahi Kangana Ka Sapna Tha. Kangana 12th Class Ke Ek Test Mai Fail Ho Gai Tabhi Se Padhai Ki Taraf Dhyan Dena Chhod Diya.
Kangana Sab Kuch Chhod Kar Apne Fashionable Andaj Ke Saath Sirf 16 Sal Ki Umar Mai Hi Delhi Aa Gai Or Delhi Aate Hi Elite Modeling Agency Ne Kangana Ki Khoobsurati Ko Pahchante Hue Inhe Kuch Modeling Assignments De Diye Or Iss Time Kangana Ne Apna College Bhi Chhod Diya Tha. Kangana Ko Modeling Karte Hue Jayda Maja Nahi Aa Rha Tha Or Isi Vajh Se Kangana Ne Apna Career Acting Mai Banane Ka Faisla Kiya. Iske Baad Inhone Ashmita Theater Group Join Kiya Or Vahi Rahte Kai Shows Or Plays Mai Participate Kiya. Kangana Ko Apne Talent Ke Bare Mai Tab Pta Chla jab Ek Stage Show Ke Dauran Inke Partner Gayab Ho Gaye The Fir Kangana Ne Uss Show Par Male Or Female Dono Role Khud Kare. Auditions Ne Inki Kafi Tarif Bhi Kari Or Kangana Ko Apne Andar Ka Talent Bhi Dikh Gaya. Or Fir Kngana Apne Talent Ke Saath Mumbai Bhi Aa Gai.
Mumbai Aate Hi Sabse Pahle Ek Drama School Join Kiya Or Yaha Acting Sikh Li. Acting To Sikh Li Par Mumbai Jaise Competetive Mahol Mai Actress Ko Kam Milna Itna Aasan Nahi Tha To Isi Ke Saath Kangana Ka Struggle Bhi Suru Ho Gaya. Mumbai Mai Kangana Ko Paiso Ki Kami Ki Vajh Se Kafi Dikkte Hoti Thi Or Kabhi Kabhi Kangana Ke Paas Khana Kharidne Ke Paise Bhi Nahi Hote The To kangana Bread or Achar Hi Kha Kar So Jaya Karti Thi. Aisi Situation Mai AAkr Kangana Ke Pita Ne Bhi Kangana Se Help Karne Ke Liye Pucha Par Kangana Apni Apni Mushibato Se Khud Hi Niklna Chahti Thi Isiliye Kangana Ne Apne Pita Se Ek Bhi Paisa Lene Se Mana Kar Diya.
Struggle Se Nikalne Ke Baad Kangana Ki Zindagi Mai Ek Umeed Ki Kiran Jagi Kyu Ki Kangana Ne Puri Imandari Or Mehant Se Apna Kam Kiya. Fir Suru Hua Kangana Ka Bollywood Career Jab Ek Din Casting Agent Kangana Ko Mahesh Bhatt Ke Paas Le Gaya. Mahesh Bhatt Nahi Chahte The Ki 'Gangster' Movie Ke Liye Kangana Ko Sign Kara Jaye To Isi Vajh Se Vo Yeh Role Chitrangda Singh Ko Dena Chahte The Lekin Chitrangda Ke Pas Time Nahi Hone Se Yeh Role Kangana Ko Mil Gaya. Fir 19 Ki Umar Mai Kangana Ne Bollywood Mai Debue Kiya Or Unki Yeh Movie Superhit Bhi Ho Gai. Or Iske Liye Kangana Ko Film Fare Award For Best Female Debut Bhi Mila. Kangana Apni Pahli Film Se Hi Logo Ki Nazro Mai Aa Gai. Fir Kangana Ne 2006 Mai Mahesh Bhatt Ke Saath Ek Or Movie 'Vo Lamhe' Kari. 2007 Mai 'Life In A Metro' Or 2008 Mai 'Fashion' Jaisi Movie Karke Sabko Apna Talent Dikha Chuki Thi.
Itni Films Karke Kangana Bollywood Mai Aa To Gai Thi Par Superhit Factor Inse Juda Nahi Tha. Fir Ye 2011 Mai Aai Film 'Tanu Weds Manu' Mai Dikhi Jisme Inhone Romantic Role Kiya Tha Or Iss Role Ko Karte Hi Kangana Ne Sabke Samne Yeh Sabit Kar Diya Ki Ye Kisi Bhi Role Ko Ache Se Kar Sakti Hai. 2013 Mai Kangana Ne 'Queen' Movie Kari Or Iss Movie Ke Dialougs Khud Likhe Or Yeh Movie Akele Kangana Ranaut Ki Vajh Se Superhit Bhi Ho Gai. Or Isi Film Ke Liye Kangana Ko National Film Award Bhi Mila Or Yahi Award Kangna Ko 2014 Mai Bhi Mila 'Tanu Weds Manu' Ke Liye.
Kangana Ranaut Ek Aisi Actress Hai Jinhe Apni Movies Ko Hit Karane ke Liye Kisi Famous Hero Ki Jarurat Nahi Hai. Ye Apne Hi Andaj Se Movie Ko Hit Kar Sakti Hai.
Wednesday, August 16, 2017
How To Know Life Purpose And How To Be Happy (Hindi)
Dosto Khush Rahna Humare Liye Bahut Bahut Jruri Hai. Har Insan Ko Khush Rahna Chahiye But Bahut Logo Ko Yeh Pata Nahi Hota Ki Unhe Kis Chiz Se Khushi Milti Or Inka Life Purpose Kya hai. Dosto Aaj Ki Post Unhi Logo ke Liye Hai.
Dosto Aaj Mai Aap Logo Se 4 Questions Puchna Chahunga Jinke Answer Aapko Soch Smjhkr Dene Hai. Ye Questions Aapko Aapka Life Purpose Dhudhne Mai Help Krege.
Question.1- Agar Aapko Pata Ho Ki Aap Life Mai Kabhi Fail Nahi Honge To Aap Konsa Kam Karna Pasand Karoge?
Dosto Yeh Jo Failure Ka Dar Hota Hai Na Yeh Hume Dara Kar Rakh Deta Hai.Iss Dar Ki Vajah Se Hum Jo Kam Karna Chahte The Vo Hum Chhod Dete Hai. Dosto Agar Aapko Pata Hota Ki Aap Jo Bhi Kam Karoge Usme Kabhi Fail Hi Nahi Hoge To Aap Konsa Kam Karte. Dosto Agar Iss Question Ka Answer Aap Pure Dil Se Doge To Aapko Aapki Life Ka Purpose Nazar Aa Jaega. Dosto M Yeh Nahi Kehta Ki Aap Kabhi Fail Nahi Ho Sakte But Iss Question Ki Vajah Se Aapko Yeh To Pata Lag Jaega Ki Aap Apni Life M Chahte Kya Ho, Kya Banna Chahte Ho, Kya Pana Chahte Ho.
Question.2- Agar Koi Aapse Aapke Bare Mai 90 Second Tak Kuch Bhi Achha Bolne Ke Liye Bole To Aap Kya Bologe?
Dosto Yeh Question Jaydatar Har Job Interview Mai Puchi Jata Hai But Maje Ki Baat Yeh Hai Ki Maximum Candidates Iska Answer Achhe Se Nahi De Pate Hai Matlab Khud Ke Bare Mai 90 Second Tak Achhe Se Nahi Bol Pate Iska Matlab Ye Ki Hume Khud Ke Bare Mai Achhe Se Pata Nahi Hota Or Hum Iss Duniya Ki Khbar Lete Rahte Hai To Dosto Abhi Isi Waqt Khud Se Yeh Question Puchiye Or Khud Ke Bare Mai Achhi Baate Janiye Isse Aap Khud Ke Bare Bahut Sari New Chize Pata Laga Sakoge.
Question.3- Aapke Khud Ke Kya Rules Hai Apni Life Ke Liye Or Aapke Liye?
Dosto Ye Aise Rules Hote Hai Jo Hum Humare Liye Banate Hai Or Inke According Life Ko Jeete Hai. Dosto Khud Ke Personal Rules Hone Se Hum Humari Life Ko Apne Tarike Se Jee Sakte Hai. Log Humare Bare Mai Kya Sochte Hai Isse Hume Fark Nahi Padega..Ye Rules Hume Crowd Se Different Banate Hai Or Hum Apni Khushi Khud Chun Sakte Hai. Dosto Agar Aapke Khud Ke Rules Nahi Hai To Apne Life Ko Jeene Ke Kuch Rules Banaye Or Unko Follow Karna Suru Kre.
Question.4- Agar Aapko Life Mai Kabhi Paise Ki Kami Nahi Ho To Aap Life Mai Kya Kya KAroge?
Dosto Bahut Log Money Ko Hi Khushi Mante Hai. Or Yeh Sochte Rahte Hai Ki Mere Pas Paisa Hota To Mai Ye Karta Vo Karta Par Dhyan Dijiye Yeh Question Bs Paise Ke Bare Mai Nahi Hai. Yeh Question Aapki Soch Ko Bada Karne Ke Bare Mai Hai Or Aapke Sapno Ko Bada Karne Ke Bare Mai Hai. Mai Aapko Iss Chiz Ki Gurantee To Nahi De Sakta Ki Aapke Sare Bade Sapne Sach Ho Jaege But Yeh Gurantee Ke Saath Bol Sakta Hu Ki Agar Aap Bada Soch Tak Nahi Sakte, Bade Sapne Dekh Tak Nahi Sakte To Aap Sach Mai Bada Kaise Kar Sakte Ho. Aapko Iss Bahar Ki Duniya Mai Kuch Bhi Karne Se Pahle Andar Se Pahle Sochna To Padega Hi Na. To Dosto Abhi Notebook Mai Note Kijiye Ki Agar Aapko Kabhi Paiso Ki Kami Na Ho To Aap Kya Kya Karoge. Isse Aapke Andar Se Bahut Sare New Desires Aaege Desires Aaege To Aapki Thinking Badi Hogi, Aapki Thinking Badi Hogi To Aapke Actions Bade Hoge Or Ho Sakta Hai Aage Life Mai Aap Ye Sab Achive Kar Sako.
Please Share This Post With Your Friends
Subscribe to:
Posts (Atom)
Robert Downey Jr. Sucess Story in Hindi (Biography)
Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...
-
Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...
-
Hardik Pandya Ka Janam 11 October 1993 Ko Surat Ke Ek Middle Class Pariwar Mai Hua. Hardik Ke Pita Himans...
-
Bollywood Ki Queen Yani Kangana Raunaut Ka Janam 23 March 1986 ko Himachal Pradesh Ke Ek Chhote Se Village ...