Wednesday, October 4, 2017
Monday, October 2, 2017
Success Story of Ranveer Singh in Hindi (Biography)
Ranveer Singh Bhavnani Ka Janam 6 July 1985 Ko Mumbai Ke Ek Sindhi Pariwar Mai Hua. Ranveer Ke Pita Ka Naam Jagjit Singh Bhavnani Or Maa Ka Naam Anju Bhavnani Hai. Ranveer Bachpan Se Hi Acting Karna Pasand Karte The. Vo Apne School Mai Palys Mai Hissa Lete The. Ranveer Ke Pariwar Wale Kehte Hai Ki Ghar Mai Jab Bhi Koi Party Hoti Thi To Koi Dance Kare Ya Na Kare Ranveer Sabse Pahle Dance Suru Karte The. Ranveer Ne School Khtam Karne Ke Baad Unhone HR College Of Commerce and Economics Join Kiya. Yahi Se Padhai Karte Samay Inhe Yeh Ahsas Hua Ki Yaha Se Gradution Karne Ke Baad Filmo Mai Jana Itna Aasan Nahi Hai Kyu Ki Bahut Logo Ne Unhe Bataya Tha Ki Jinka Koi Jankar Film Industry Mai Ho Sirf Vahi Aage Ja Sakte Hai.
Ranveer Ne Decide Kiya Ki Vo Acting Na Kar Paye To Writer Banege. Iske Baad Vo United State Ki Indiana University Se Bachlor Of Arts Ki Degree Lege or University Mai Hi Acting Class Bhi Li Or Theater Ko Second Option Leke Aage Bade. Padhai Khatam Hone Ke Baad 2007 Mai Vo Mumbai Laute. Kuch Advertising Companies Jaise O & M Aur J Walter Thomson Ke Saath Kuch Saal Kaam Kiya. Fir Unhone Assistant Director Banke Bhi Kaam Kiya Or Dhire Dhire Apna Portfolio Sabhi Directors Ko Bhejne Lage. Har Kahi Audition Dene Ke Ranveer Singh Ko Kamyabi Hasil Nahi Hui.
Ranveer Ko Kuch Bahut Chhote Roles Mile But Vo Inse Khush Nahi The. Fir Ek Saal Tak Chhote Roles Karne Ke Baad Unhe 2010 Mai Anushka Sharma Ke Saath Yash Raj Film Production Ki Film Band Baaja Baarat Mili. Unki Pahli Film Ne Logo Ko Khush Kar Diya Aur Unhe Iske Liye Film Fare Ka Best Debut Ka Award Bhi Mila. Iske Baad 2013 Mai Romantic Movie Lootera Aai Jo Achhi Hit Gai. Fir To Ranveer Ke Career Ne Raftar Pakad Li. Iske Baad Inhone Ek Ke Baad Ek Hit Films Di Jaise Ram Leela, Gunday, Dil Dhadakne Do, Bajirao Mastani Aur Befikre. Ranveer Singh Ki Aane Wali Film Padmavati Hai.
Ranveer Singh Ab Bollywood Ke Ek Chahte Aur Kamyab Actor Hai.
Dosto Post Pasand Aaye To Share Jarur Kare.
Sunday, October 1, 2017
Success Story Of Hardik Pandya in Hindi (Biography)
Hardik Pandya Ka Janam 11 October 1993 Ko Surat Ke Ek Middle Class Pariwar Mai Hua. Hardik Ke Pita Himanshu Pandya Ka Apna Car Finance Ka Bussiness Tha. Jab Hardik 5 Saal Ke Hue Tab Unke Pita Ne Apna Bussiness Band Kar Diya Kyu Ki Unhone Yahi Socha Ki Unke Bacho Ka Future Isi Par Nirbhar Hai Isiliye Vo Vadodara Shift Ko Gaye. Hardik Ne Apni Schooling MK High School Se Kari Jaha Vo Khub Cricket Khela Karte The. Fir Hardik Ne Apne Bhai Krunal Pandya Ke Saath Kiranmore Cricket Academy Bhi Join Kar Li.
Hardik Ka Hamesha Se Ek Hi Best Friend Rha Hai Or Vo Hai Unka Bhai Krunal Pandya. Krunal Ka Kehna Hai Ki Hardik Match Akele Hi Jeeta Diya Karte The. Fir Dhire Dhire Unke Achhe Cricket Ko Dekh Kar Unhe State Team Mai Select Kar Liya Gaya Par Unhe Uss Team Se Jaldi Nikal Bhi Diya Gaya Kyu Coach Ka Kehna Tha Ki Hardik Ka Attitude Problem Hai Or Hardik Ka Kehna Tha Ki Unhe Apni Feeling Ko chhipana Pasand Nahi Hai. Fir 2013 Mai Hardik Ne Baroda Cricket Team Ke Saath Khelna Suru Kar Diya Or Iske Baad Hardik Ki Zindagi Badalne Wali thi. Unhone 2013-14 Ki Syed Mushtaq Trophy Ko Jeeta kar Apna Alag Hi Mukaam Hasil Kar Liya.
2015 Mai Unhe IPL Team Ke Liye Select Kar Liya. Unhe Mumbai Indians Ne Kharida Or Pahla Match Jo Chennai Super Kings Ke Khilaf Tha Usme Hardik Ne Bahut Achha Prdarshan Kiya Or 8 Balls Mai 21 Runs Banaye Or Iss Match Mai 3 Catches Bhi Liye Or Tab Se Hardik Ki Fan Following Badti Chali Gai. Hardik Pandya Ab Ek Naam Or Mumbai Indians Ki Pahchan Bhi Ban Gaye. Uss Time Sachin Tendulkar Ne Call Karke Bola Tha Ki Mai Dave Ke Saath Keh Sakta Hu Ki Tum Ded Sal Ke Andar Team India Ke Liye Kheloge Or Agle Saal 2016 Mai Unhe Asia Cup Khelne Ka Mauka Mil Gaya Or Isi Ke Baad Hardik Ko Apna T20 International Debue Mila Australia Ke Khilaf Jisme Unhone 2 Wickets Liye Or Agle T20 Jo Shri Lanka Ke Khilaf Tha Usme 14 Balls Mai 27 Runs Banaye. October Mai ODI Debue Kiya New Zealand Ke Khilaf Jisme Unhone 3 Wickets Leke Match Jeetaya.
Ab Hardik Pandya Indian Cricket Team Ka Important Hissa Hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)
Robert Downey Jr. Sucess Story in Hindi (Biography)
Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...
-
Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...
-
Hardik Pandya Ka Janam 11 October 1993 Ko Surat Ke Ek Middle Class Pariwar Mai Hua. Hardik Ke Pita Himans...
-
Bollywood Ki Queen Yani Kangana Raunaut Ka Janam 23 March 1986 ko Himachal Pradesh Ke Ek Chhote Se Village ...