Friday, September 29, 2017

Success Story of Rohit Sharma in Hindi (Biography)

                    


Pichhle Kuch Salo Mai Humari Cricket Team Ne Kai Bade Bade Khitab Apne Naam Kiye Hai Or Humare Desh Ka Naam Puri Duniya Mai Roshan Kiya. Bharat Ki Cricket Mai Success Ke Pichhe Kai Mahan Cricketrs Hai Jinme Se Ek Naam Rohit Sharma ka Bhi Hai. Rohit Sharma Ne Kai Records Apne Naam Kiya Hue Hai Jinme Se Ek Hai Kisi Bhi Player Ke Dawra Ek ODI Match Mai Sabse Jayda Run. Yeh Record Inhone Shri Lanka Ke Khilaf 264 Run Ka Banaya Tha. Sirf 20 Saal Ki Umar Mai Hi International Cricket Mai Debue Karne Wale Iss Khiladi Ka Pura Safar Hum Janege.


Rohit Sharma Ka Janam 30 April 1987 Ko Nagpur, Maharashtra Mai Hua. Rohit Sharma Ka Pariwar Uss Time bahut Gareeb Tha. Paiso Ki Kami Ki Vajh Se Hi Rohit Ki School Fees Bharne Mai Unke Gharwalo Ko Bahut Preshani Hoti Thi. Uss Time Rohit Sharma Ke Pita ne Inhe Inke Dada Dadi Ke Ghar Bhej Diya . Cricket Mai Interst Hone Ki Vajh Se Rohit Vaha Galiyo Mai Apne Dosto ke Saath Khoob Cricket Khela karte The. Kafi Samay Tak Aise Hi Khelne Ke Baad Rohit Ne Apne Uncle Se Paise Lekar Ek Cricket Club Join Kiya. Club Mai Pahle Se Hi Kafi Batsman Hone Ki Vajh Se Vaha Bowling Karni Suru Kari Or Usi Ki Practice Karte Hue Apna Samay bitaya. Jab Coach Dinesh Lad Ne Rohit Ka Cricket Ki Taraf Josh Dekha To Inhone Rohit Ko Swami Vivekanad School Join Karne Ke Liye Bola Kyu Ki Vaha Dinesh Lad Coach The Or Vaha Par Cricket Facilites Bhi Jayda Achhi Thi. 


Rohit Uss School Ko Afford Nahi Kar Sakte The. But Rohit Ke Coach Ne Rohit Ko Scolarship Dilwane Mai Help Kari Or Fir Rohit Ne 4 Salo Tak Apni Padhai Free Mai Kari. Vaise To Rohit 8th ya 9th Postion Par Bating Karne Aate The Lekin Jab Rohit Ke Coach Ne Rohit Ki Bating Skill Dekhi To Inhone Rohit Ko Net Par Practice Karne Ki Salah Di Fir Rohit Ne Apne Batting Ko or improve Karne Ke Liye Din Raat Practice Karni Suru Kar Di. Rohit Ne Pahli Bar Opening Kari Inter School Tournament Mai Jisme Inhone  Jordar 120 Run Ki Pari Kheli. Fir Rohit Ne 18 ki Umar Mai Domestic Cricket Mai Debue Kiya Or Aate Hi North Zone Ke Khilaf 142 Run Banaye Or Isi Vajh Se Kafi Logo Ki Nazro Mai Bhi Aa Gaye. 


Fir Rohit Ne First Class Mai Debue Kiya Or India A team Se Khelne Lage Fir Inhone Mumbai Ko Ranji Trophy Jitai Jiske Ek Match Mai Inhone 205 Run Banaye The. Fir 2007 Mai Jab Rohit 20 Saal Ke Hue To Inhone Apna International Debue Kara Ireland Ke Khilaf Iske Baad Inka Cricket Career Dhire Dhire Aage Badta Raha. Rohit Ne Isi Bich Kuch International Centuries Bhi Lagai Par Iske Baad Khrab Prdarshan Ki Vajh Se Inhe 2011 World Cup Ki Team Se Bahr Baithna Pada. Iske Baad Rohit Ko West Indies Tour Ke Liye Select Kar Liya Gaya. Yeh Aisa Match Tha Jisme Jaydatar Player Jaise Sachin Teldurkar, Virendra Sehwag Or MS Dhoni Rest Par The Or Kuch Players Jaise Yuvraj Singh, Gautam Gambhir Injured The. Yeh Match Rohit Sharma Ko Khud Ko Sabit Karne Ka Achha Mauka Tha To Iss Match Mai Rohit Sharma Ne 71 Run Banaye Or Yeh Match India jeet Gai. Fir 2013 Ki Champion Trophy Mai Rohit Ko Opening Karne Ka Mauka Diya Gaya Sikhar Dhawan Ke Saath Or Iss Trophy Ne India Ko Champion Trophy Dila Di. Fir Aaya November 2013 Jab Sachin Sir Fairwell Tha To Rohit Ko Test Match Debue Ka Mauka Mila Tab Rohit Ne 177 Runs Bana Kar West Indies Ke Khilaf India Jo Jeetaya Or Yeh Score Second Best Score On Debut By Indian Player Bana. Or Rohit Un Players Mai Aa Gaye Jinhone Test Debue Mai Century Banai. 


Rohit Tab Se Hi India Team Ka Hissa hai. Rohit Akele Aise Player Hai Jinhone International One Day Match mai Two Double Hundreds Banaye Hai


Success Story of Kangana Ranaut in Hindi (Biography)

                         

Bollywood Ki Queen Yani Kangana Raunaut Ka Janam 23 March 1986 ko Himachal Pradesh Ke Ek Chhote Se Village Bhambla Mai Hua.

Kangana Ki Maa Ek School Teacher Hai Or Inke Pita Ek Bussinessman Hai. Kangana Hamesha Se Hi Joint Family Mai Rahi Or Bachpan Se Hi Bahut Ziddi Ladki Thi. Kangana Bachpan Ko Fashion Ka Suru Se Hi Shauk Tha Vo Bachpan SE Hi Alag Alag Tarah Ki Dresses Pahnna Pasand Karti Thi. 


  Kangana Ne Apni Schooling Dav Public School, Chandigarh Se Kari Hai. Kangana Science Ki Student Thi Or Kangana Ek Doctor Banna Chahti Thi Yahi Kangana Ka Sapna Tha. Kangana 12th Class Ke Ek Test Mai Fail Ho Gai Tabhi Se Padhai Ki Taraf Dhyan Dena Chhod Diya. 


Kangana Sab Kuch Chhod Kar Apne Fashionable Andaj Ke Saath Sirf 16 Sal Ki Umar Mai Hi Delhi Aa Gai Or Delhi Aate Hi Elite Modeling Agency Ne Kangana Ki Khoobsurati Ko Pahchante Hue Inhe Kuch Modeling Assignments De Diye Or Iss Time Kangana Ne Apna College Bhi Chhod Diya Tha. Kangana Ko Modeling Karte Hue Jayda Maja Nahi Aa Rha Tha Or Isi Vajh Se Kangana Ne Apna Career Acting Mai Banane Ka Faisla Kiya. Iske Baad Inhone Ashmita Theater Group Join Kiya Or Vahi Rahte Kai Shows Or Plays Mai Participate Kiya. Kangana Ko Apne Talent Ke Bare Mai Tab Pta Chla jab Ek Stage Show Ke Dauran Inke Partner Gayab Ho Gaye The Fir Kangana Ne Uss Show Par Male Or Female Dono Role Khud Kare. Auditions Ne Inki Kafi Tarif Bhi Kari Or Kangana Ko Apne Andar Ka Talent Bhi Dikh Gaya. Or Fir Kngana Apne Talent Ke Saath Mumbai Bhi Aa Gai.


Mumbai Aate Hi Sabse Pahle Ek Drama School Join Kiya Or Yaha Acting Sikh Li. Acting To Sikh Li Par Mumbai Jaise Competetive Mahol Mai Actress Ko Kam Milna Itna Aasan Nahi Tha To Isi Ke Saath Kangana Ka Struggle Bhi Suru Ho Gaya. Mumbai Mai Kangana Ko Paiso Ki Kami Ki Vajh Se Kafi Dikkte Hoti Thi Or Kabhi Kabhi Kangana Ke Paas Khana Kharidne Ke Paise Bhi Nahi Hote The To kangana Bread or Achar Hi Kha Kar So Jaya Karti Thi. Aisi Situation Mai AAkr Kangana Ke Pita Ne Bhi Kangana Se Help Karne Ke Liye Pucha Par Kangana Apni Apni Mushibato Se Khud Hi Niklna Chahti Thi Isiliye Kangana Ne Apne Pita Se Ek Bhi Paisa Lene Se Mana Kar Diya. 


Struggle Se Nikalne Ke Baad Kangana Ki Zindagi Mai Ek Umeed Ki Kiran Jagi Kyu Ki Kangana Ne Puri Imandari Or Mehant Se Apna Kam Kiya. Fir Suru Hua Kangana Ka Bollywood Career Jab Ek Din Casting Agent Kangana Ko Mahesh Bhatt Ke Paas Le Gaya. Mahesh Bhatt Nahi Chahte The Ki 'Gangster' Movie Ke Liye Kangana Ko Sign Kara Jaye To Isi Vajh Se Vo Yeh Role Chitrangda Singh Ko Dena Chahte The Lekin Chitrangda Ke Pas Time Nahi Hone Se Yeh Role Kangana Ko Mil Gaya. Fir 19 Ki Umar Mai Kangana Ne Bollywood Mai Debue Kiya Or Unki Yeh Movie Superhit Bhi Ho Gai. Or Iske Liye Kangana Ko Film Fare Award For Best Female Debut Bhi Mila. Kangana Apni Pahli Film Se Hi Logo Ki Nazro Mai Aa Gai. Fir Kangana Ne 2006 Mai Mahesh Bhatt Ke Saath Ek Or Movie 'Vo Lamhe' Kari. 2007 Mai 'Life In A Metro' Or 2008 Mai 'Fashion' Jaisi Movie Karke Sabko Apna Talent Dikha Chuki Thi.


Itni Films Karke Kangana Bollywood Mai Aa To Gai Thi Par Superhit Factor Inse Juda Nahi Tha. Fir Ye 2011 Mai Aai Film 'Tanu Weds Manu' Mai Dikhi Jisme Inhone Romantic Role Kiya Tha Or Iss Role Ko Karte Hi Kangana Ne Sabke Samne Yeh Sabit Kar Diya Ki Ye Kisi Bhi Role Ko Ache Se Kar Sakti Hai. 2013 Mai Kangana Ne 'Queen' Movie Kari Or Iss Movie Ke Dialougs Khud Likhe Or Yeh Movie Akele Kangana Ranaut Ki Vajh Se Superhit Bhi Ho Gai. Or Isi Film Ke Liye Kangana Ko National Film Award Bhi Mila Or Yahi Award Kangna Ko 2014 Mai Bhi Mila 'Tanu Weds Manu' Ke Liye. 



Kangana Ranaut Ek Aisi Actress Hai Jinhe Apni Movies Ko Hit Karane ke Liye Kisi Famous Hero Ki Jarurat Nahi Hai. Ye Apne Hi Andaj Se Movie Ko Hit Kar Sakti Hai.

Robert Downey Jr. Sucess Story in Hindi (Biography)

Aaj Ke Jamane Mai Robert Downey Jr. Ek Behtrin Aur Famous Actor Hai. Robert Apni Famous Films 'Iron-man' Aur 'Sherlock hol...